Home / Aankhen Poetry / Jo Aansoo Dil Main Girtay Hain Wo Aankhon Mai Nahi Rehtay

Jo Aansoo Dil Main Girtay Hain Wo Aankhon Mai Nahi Rehtay

Jo Aansoo Dil Main Girtay Hain Wo Aankhon Mai Nahi Rehtay

Jo Aansoo Dil Main Girtay Hain Wo Aankhon Mai Nahi Rehtay
Bohot Say Harf Aisay Hen Jo Lafzon Main Nahi Rehtay

Kitabon Mai Likhay Jatay Hain Dunya Bhar Kay Afsanay
Magar Jin Mai Haqeeqat Ho Kitabon Mai Nahi Rehtay

Bahar Aaye To Har Ik Phool Par Ik Saath Aati Hai
Hawa Jin Ka Muqaddar Ho Wo Shakhon Main Nahi Rehtay

Mehak Or Titliyon Ka Naam Banwaray Say Juda Kyun Hai
Kay Ye Bhi To Khizan Aanay Pay Phoolon Main Nahi Rehtay

جو آنسو دل میں گرتے ہیں وہ آنکھوں میں نہیں رہتے
بہت سے حرف ایسے ہیں جو لفظوں میں نہیں رہتے

کتابوں میں لکھے جاتے ہیں دنیا بھر کے افسانے
مگر جن میں حقیقت ہو کتابوں میں نہیں رہتے

بہار آئے تو ہر اک پھول پر اک ساتھ آتی ہے
ہوا جن کا مقدر ہو وہ شاخوں میں نہیں رہتے

مہک اور تتلیوں کا نام بھنورے سے جدا کیوں ہے
کہ یہ بھی تو خزاں آنے پہ پھو لوں میں نہیں رہتے

About admin

blank
blank

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

x

Check Also

Tujh Ko Sochon To Tere Jisam ki Khushboo Aaye

Tujh Ko Sochon To Tere Jisam ki Khushboo Aaye

Tujh Ko Sochon To Tere Jisam ki Khushboo Aaye Meri Ghazlon Main Alamat Ki Tarha ...