Home / Ansoo Poetry / Kaghaz Ki Kashtiyan Thi Bahao Bhi Khoob Tha

Kaghaz Ki Kashtiyan Thi Bahao Bhi Khoob Tha

Kaghaz Ki Kashtiyan Thi Bahao Bhi Khoob Tha
Mosam Ka Paniyon Say, Lagao Bhi Khoob Tha

Manzar Teray Khayal Kay, Sub Tootty Rahy
Sochon Ka Waswason Say Bachao Bhi Khoob Tha

Zarray Chamak Rahay Thay, Falak Say Zameen Tak
Sehra Mai Chandni Ka Parao Bhi Khoob Tha

Bilkul Badal Gaye Thay, Taqazay Bhi Adal Kay
Munsif Ka Aik Simt Jhukao Bhi Khoob Tha

Chahat Kay Lafz Saaray Baghawat Mai Dhal Gaye
Jalti Hue Ana ka, Alaao Bhi Khoob Tha

Aansoo Bhi Kar Sakay Na Haqeeqat Ko Bay Niqab
Teri Taraf Say Aakhri Ghao Bhi Khoob Tha

کاغذ کی کشتیاں تھیں بہاؤ بھی خوب تھا
موسم کا پانیوں سے ، لگاؤ بھی خوب تھا

منظر تیرے خیال کے ، سب ٹوٹتے رہے
سوچوں کاوسوسوں سےبچاؤ بھی خوب تھا

ذرے چمک رھے تھے ، فلک سے زمین تک
صحرا میں چاندنی کا پڑاؤ بھی خوب تھا

بالکل بدل گئے تھے ، تقاضے بھی عدل کے
منصف کا ایک سمت جھکاؤ بھی خوب تھا

چاھت کےلفظ سارے بغاوت میں ڈھل گئے
جلتی ھوئی انا کا ، الاؤ بھی خوب تھا

آنسو بھی کر سکے نہ حقیقت کو بے نقاب
تیری طرف سے آخری گھاؤ بھی خوب تھا

About admin

blank
blank

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

x

Check Also

Tujh Ko Sochon To Tere Jisam ki Khushboo Aaye

Tujh Ko Sochon To Tere Jisam ki Khushboo Aaye

Tujh Ko Sochon To Tere Jisam ki Khushboo Aaye Meri Ghazlon Main Alamat Ki Tarha ...